Tuesday, June 5, 2012


Zindagi......





Kitaabon Ke Panne Palat Ke Sochta Hoon,
Yoon Palat Jaaye Zindagi Toh Kya Baat Hai!

Tamanna jo poori ho khwaabon mein,
Haqeeqat ban jaaye toh kya baat hai!

Kuch log matlab ke liye dhoondte hai mujhe,
Bin matlab koi aaye toh kya baat hai!

Katal kar ke toh sabh le jaayenge dil mera,
Koi baaton se le jaaye toh kya baat hai!

Jo shareefon ki sharafat me baat na ho,
1 sharabi keh jaaye toh kya baat hai!

Zinda rehne tak toh khushi du sabko,
Kisiko meri maut pe khushi mill jaaye toh kya baat hai!!!

Kissi Din.....




Chehrey Pe Merey Zulf Ko Phailaao Kissi Din
Kiya Roz Garaj-Tey Ho, Baras Jaao Kissi Din

Raazon Ki Tarha Utro Merey Dil Mein Kissi Shab
Dastak Pe Merey Haath Ki Khul Jaao Kissi Din
Phoolon Ki Tarha “Husn” Ki Baarish Mein Naha Loon 

Badal Ki Tarha Jhoom Ke Ghir Aao Kissi Din

Khushboo Ki Tarha Guzro Merey Dil Ki Gali Say
Phoolon Ki Tarha Mujh Pe Bikhar Jaao Kissi Din

Phir Haath Ko Khairaat Miley Bund Qaba Ki
Phir Lutf -E- Shab-E-Wasl Ko Dohraao Kissi Din

Guzrein Jo Merey Ghar Sey Tou Ruk Jaaein Sitaarey
Iss Tarha Meri Raat Ko Chamkaao Kissi Din

Mein Apni Har Aik Saans Ussi Raat Ko Dey Doon
Sar Rakh Ke Merey Seeney Pe So Jaao Kissi Din.
...Fasle Hain Magar
Firr Bhi Tu Door Nahi;
Mana K Hum Toh Hain Per Tu Majboor Nahi.... (=

Har Lamha Mujhko Ye Tadpaati Hain
Jaan Meri Jaan Jaati Hai...~_~
Tanhaiyo'n Mein Rehti Hun
Khud Se Hi Aksar Ye Kehti Hu'n...

-<-Kyun Tune Dil Tora....?
Kyun Tune Yu'n Chora...?
Kyun Tera Ab Bhi Rahe Dil Ko Intezaar......??
Kyun Chala Aata Hai.....?
Kyun Tdpaata Hai....?? (^_^)

Kyun Hun Ab Bhi Mai Yun Bekrar......^.^

"Aye Khuda.. Mujhko Bta..
Tu Rehta Kaha'n.. Kya Tera Pata
...Hum Toh Yaha Pe Musafirr Hain...
Jo Dhunde Apni Manzil Ka Pta......♥♥

Friday, April 6, 2012


while u r ignoring dem,
sum1 else is giving dem attention..

while u r giving dem problems,
sum1 else is listening to those problems..

while u r too busy for dem,
sum1 else is making time for dem..

while u r making dem cry,
sum1 else is trying to make dem smile..

while u r not sure if u still want dem,
sum1 else already figured it out♥

do not loose wat u have..realise deir worth...hold dem close to u....coz...."zidagi me guzar jaate hain jo mukaam...wo phir nahi aate...phir nahi aate..."...♥

Wednesday, April 4, 2012

                                                                                    "Mout"


Zindagi me 2 minute koi mere pas na baitha,

aaj sab mere pas baithe ja rahe the,

koi tohfa na mila aaj tak mujhe,
aaj phul hi phul diye ja rahe the,

taras gaya me kisi k hath se diye vo ek kapde ko,
aaj naye naye kapde odhaye ja rahe the,

Do kadam sath na chalne ko tayyar tha koi,
aaj kafila banakar ja rahe the,

Aaj pata chala ke ''MAUT''itni hasin hoti h,
Kambhakt "HUM"to yuhi jie ja rhe the :)

                                  Khwahish...


Kuchh adhuri khwahishon ka silsila hai zindagi,
Manzilon se ek musalsal fasala hai zindagi !
Mere darwaze pe dastak de ke chhup Jane ka khel,
Kab talak khelegi eh kya bachpana hai zindagi !
Tere afsane to mai sunta raha Hun baraha,
Naam kya tune kabhi mera suna hai zindagi !
Zinda Hun doston ki duaaon ke bawajud,
Roshan hai kitani tej hawaon is zindagi !
Apani tamam shokh adaaon ke bawajud,
Bahla saki na jee mera eek pal bhi zindagi !
Bojhil hai rat chand sitaron ke bawajud,
Suraj ke bawajud andhera hai zindagi !
Barbaad hamko hona tha barbad ham huye,
Duniya hai sari nek salahon is zindagi !
Kaatil the jitane mere sabhi ho gaye bari,
Aur chup khadi thi chasmdeed gawahon si zindagi !

एक समझौता कर लेता हूँ

जब याद करके तेरा उदास मुखड़ा हृदय फटने लगता है
और अपनी रिश्ते की अनिश्चिताओं में मन भटकने लगता है
काम करते करते ,सब के सामने जब आँखों में नमी सी उभरने लग जाती है
एक समझौता कर लेता हूँ
रोने का भी वक्त कहाँ ,दो चार आहें भर लेता हूँ |

थक कर जब तेरे कंधे पर सर रख के सोने का मन करता है
सब छोड़ जब तेरे पास आ जाने का मन करता है
जब तुम बिन जीवन का अर्थ और उद्देश्य धूमिल दिखाई पड़ते है
एक समझौता कर लेता हूँ
तू न सही ,तेरी तस्वीर को बांहों में भर लेता हूँ |

दिल को कितना समझाया पर जजबात नहीं बदलते
सब करके देखा ,हालात नहीं बदलते
जब बदल नहीं सकता इन हांथो की लकीरों को
एक समझौता कर लेता हूँ
डूब कर प्यालों में शाम बदल लेता हूँ |

तुम बिन कितना घर खाली, कितने हम अधूरे हैं
इन्टरनेट,फिल्मे,टीवी मन बहलाने के साधन तो बहुतेरे हैं
फिर भी अकेलेपन से जब जी घबराने लग जाता है
एक समझौता कर लेता हूँ
लोग कहे इसे पागलपन ,मैं आईने से बाते कर लेता हूँ |